Tuesday, June 21, 2011

koi haath bhi na milayega, jo gale miloge tapak se ye naye mizaj ka shahar hai, zara faaale se mila karo

yun hi besabab na phira karo, koi shaam ghar bhi raha karo
vo Gazal kii sachchii kitaab hai, use chupake chupake paDaa karo

koi haath bhi na milayega, jo gale miloge tapak se
ye naye mizaj ka shahar hai, zara faaale se mila karo
...
abhi raah mein kai mor hain, koi aayega koi jaayega
tumhein jisne dil se bhulaa diya use bhulane ki duaa karo

mujhe ishtahaar si lagti hain, ye mohabbaton ki kahaniyaan
jo kahaa nahi vo suna karo, jo suna nahi vo kahaa karo

kabhi husn-e-pardaanashin bhii ho zaraa aashiqana libaas mein
jo main ban-sanvar ke kahin chalun, mere saath tum bhii chalaa karo

ye Khiza ki zard-si shaam mein, jo udaas pe'do ke paas hai
ye tumhare ghar ki bahaar hai, ise aansuon se hara karo

nahn behijaab vo chaand saa ki nazar kaa koi asar nahin
use tani garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo

2 comments: