Wednesday, June 22, 2011

niraale dastoor

Maqtab-e-Ishq k dastoor niralay dekhay,
Us ko chhutti na mili jis nein sabaq yaad kiya...!

Tuesday, June 21, 2011

tery doston mein hun k tery dushmanon mein hun!


koi haath bhi na milayega, jo gale miloge tapak se ye naye mizaj ka shahar hai, zara faaale se mila karo

yun hi besabab na phira karo, koi shaam ghar bhi raha karo
vo Gazal kii sachchii kitaab hai, use chupake chupake paDaa karo

koi haath bhi na milayega, jo gale miloge tapak se
ye naye mizaj ka shahar hai, zara faaale se mila karo
...
abhi raah mein kai mor hain, koi aayega koi jaayega
tumhein jisne dil se bhulaa diya use bhulane ki duaa karo

mujhe ishtahaar si lagti hain, ye mohabbaton ki kahaniyaan
jo kahaa nahi vo suna karo, jo suna nahi vo kahaa karo

kabhi husn-e-pardaanashin bhii ho zaraa aashiqana libaas mein
jo main ban-sanvar ke kahin chalun, mere saath tum bhii chalaa karo

ye Khiza ki zard-si shaam mein, jo udaas pe'do ke paas hai
ye tumhare ghar ki bahaar hai, ise aansuon se hara karo

nahn behijaab vo chaand saa ki nazar kaa koi asar nahin
use tani garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo

Tu halqa e yaaran men b mohtat raha ker

Thursday, June 16, 2011

Kisi ko mene chaha tha kisi ko tumne chaha tha

suno laRki!
kisi ko tum ne chaha tha
tume wo mil nhi paaya
kisi ko maiN ne chaha tha
muje wo mil nhi paaii
adhori tum bhi ho ab tak
adhora maiN bhi hoN ab tak
adhore,pan ki tanhaaii
tume bhi dasti rehti hy
adhore,pan ki tanhaaii
muje bhi dasti rehti hy
adhore,pan se tum bhi ab
nikalna cha,hati ho bus
adhore,pan se maiN bhi ab
nikalna cha,hata hoN bas
tumare aur mere sab
masaail aik jese haiN
sabhi gham aik jese haiN
sabhi dukh aik jese haiN
suno laRki!
chalo ik kaam karte haiN
muje tum wesa hi cha,ho
kay jesa us ko cha,ha tha
tume maiN wesa hi cha,hoN
kay jesa us ko cha,ha tha
chalo aao kay miljul kar
neya ik ghar basaate haiN
mohabbat kay deye ko pher
mohabbat se jalaate haiN

Monday, June 13, 2011

Hisaabe zist ka bs itna sa goshwara hai

Kabhi phir milenge to poochhna

Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain

Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain

Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K Hote Hain

Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain

Wo Humara Hai Is Tarah Se MOHSIN
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain...!!!

Thursday, June 09, 2011

Ye Musafatain


karobar k qisse

Bohat farsooda lagte hain mujhe ab yaar ke kissey
Gul-o-gulzar ki batain ' lab-o-rukhsaar ke kisse,,

Yahan sab ke mukaddar main fakat zakhm e judai hai
Sabhi jhotey fasane hain wasal-e-yaar ke kisse,,

Bhala ishq-o-mohabbat se kis ka pait bharta hai
Suno ! tum ko sunata hoon mein karobar ke kisse,,

Mere ehbaab kehte hain yehi ik ae'b hai mujh main
Sar'e deewar likhta hon main pas’ey deewar ke kisse,,

Main aksar is liye logon se ja kar khud nahin milta
Wohi bekaar ki batain ' wohi bekaar ke kisse,,,!~!