Saturday, December 31, 2011

Thanx to Founder Of Urdu--Poetry

Thanx a lot raja adil...
you gave a platform for marvellous poetry...
God Blexx U...

BadlaAo....!!!

December Ki aAnkhon main ab aAnsu nahi rahy...,,
Jis ki YaAd main barasta tha shaid mil gya usay...,,

Agly December...!!!

Waqt Hai Jhonka Hawa Ka, Aur Hum PeElay PatTay Faqat...,,,
Kaun Jany Agly December, Tum Kahan Aur Hum Kahan..,,

Alvida 2011. . .

Din Raat Bitaaye hain bry runj o alam mein
Taa dair yh din raat humain yaad rahain gy
Yh saal to khyr aaj guzar hi jayega
Is saal k sadmaat humain yaad rahain gy. . .

December Lout aaya hy. . .

December....!!!

Koi ChaAra Koi Ism e MohabBat hai toh de jaAo...,,
Mujhy Yeh Waswasa hai ke December JaAn le le ga..,,

Shararat....!!!

Husn Har baAr Shararat main pehal karta hai...,,
BaAt barhti hai toh phir Ishq ke sar hoti hai....,,,

Bharam...!!!

MohabBat ka bharam toOta hai ab chup chup ke roty ho...,,
Tumhain main ne kaha tha ke Ghalat Fehmi main matT rehna.... 

MohabBat...!!

Suna hai MohabBat bhi aik Naiki hai..,,
Chalo darya main daAl aAty hain....

Ikh'tatam....!!!

Ab is ke baAd jo hui toh Dil-Lagi hogi...,,
Hum tum pe apni mohabBat tamam karty hain..,,

BaAdshah...!!

BaAdshah hai jidhar chala jaye..,,
Dil pe kuch ikhteyar thori hai..,, :]

Dastak....!!!!

Ik din khud apne Ghar pe dastak di..,,
Aur phir keh diya nahin houn main..., :[

Ajab Khuwahish....!!!!

Ab ki baAr ajeEb si khuwahish jaAgi hai...,,
K koi mujhy toot k chahy aur main bewafa nikloon...

Poetry of the Year!!!

UdaS Honton Pe MuSkurahat k Phool Aayen To Jaan Laina
K Dil k Andar Ki Kuch UdaaSi Bohat UdaSi Main Dhal Rahi Hai….

Mujhe bhi shaam hona hy mujhy gumnaam hona hy

Monday, December 26, 2011

Mujhay tum yaad Aatay ho……..

Mujhay tum yaad Aatay ho……..

kisi sunsan sapnay may chupee khawahish ke hidat may

kisi musrofiat kay moor par

Tanhai kay sehraaoon may

ya phir kisi anjan beemare ke shidat may

mujhay tum yaad atay ho………..

kisi bicharay huay ki chasm purnam kay nazaray par

kisi beetay huay din ke thakan ke Ooat say

ya phir tumharay zikrr may guzare hue shab kay isharay par

kisi bastee ke baronaq sarak par

Aur kisi darya , kisi veeran jungle kay kinaaray par

mujhay tum yaad aatay ho…………….

maire chup kay kuwain may

aarzooyon kay badan jab tairtay hain

aur kinaray say koi bolay

to lagta hai ajal awaz dayte hai

maire baichainiyon may jab tumhare tundkho ranjish khatakte hai

tumhare bedoore sulagtee hai

ya phir jab maire ankhon kay sehra may

tumhare yaad ke tasveer jaltee hai, judai haat maltee hai

mujhay tum yaad atay ho…………..

mujhay tum yaad atay ho…………..

muqadar kay sitaroon par

zamano kay isharoon par

udasee kay kinaron par

kabhe veeran shehroon may

kabhe sunsaan rastoon par

kabhe hairaan ankhon may

kabhe bayjaan lamhoon par

tumhari yaad chup k se

koi sargoshi karti hy

yh palkain bheeg jati hain

to ansu toot girty hain
hum palkon ko jhukaty hain

bazahir muskuraty hain

fakat itna hi kehty hain

mujhy kitna sataty ho

mujhay tum yaad atay ho…………..

mujhay tum yaad atay ho…………..

suhaane shaam ho koi

kahen badnaam ho koi

bhalay gulfam ho koi

kisee kay naam ho koi

mujhay tum yaad atay ho………

kahen barish baras jaey

kahen sehra taras jaey

kahen kaalee ghata utray

kahen bad-e-saba tehray

tumharay aur mairay darmiyan Aakay Khuda tehray

to maire zindage kay awal-o-akhir

tum is lamhay

khuda kay bad Aatay ho………..

mujhay tum yaad atay ho………..

Jo nuqsan hua Khoob hua

Wednesday, December 07, 2011

Royaa karenge aap bhi pehron isii tarah


Royaa karenge aap bhi pehron isii tarah

royaa karenge aap bhi pehron isii tarah
atakaa kahiin jo aap kaa dil bhii merii tarah

naa taab hijr mein hai naa aaraam wasl mein
kamabaKht dil ko chain nahiin hai kisii tarah

gar chup rahen to Gam-e-hijraan se choot jaayen
kehte to hain bhale kii vo lekin burii tarah

na jaaye wahan bane hai na bin jaaye chain hai
kyaa kiijiye hamen to hai mushkil sabhii tarah

lagtii hain gaaliyaan bhii terii mujhe kyaa bhalii
qurbaan tere, phir mujhe kah le isii tarah

huun jaan_balab butaan-e-sitamagar ke haath se
kyaa sab jahaan mein jeete hain "Momin" isii tarah...

(momin khan momin)

raat

Raat ko agly din k sunahry sapny bunty rhty hn


Agly din phir lag jaty hn sapno ko dafna ny main.......

TamaNna