Thursday, July 14, 2011

Yaad rahii teri yahaaN, phir terii yaad bhi gayi


Haalat E haal ke sabab, haalat E haal hi gayi

Shauq meN kuch nahiN gaya, shauq ki zindagi gayi

Ek hi haadsaa to hai aur vo yeh K aaj tak

Baat nahi kahi gayi, baat nahi suni gayi

Baad bhi tere jaan E jaaN dil meN rahaa ajab samaaN

Yaad rahii teri yahaaN, phir terii yaad bhi gayi

Uske badan ko di namud hamne suKhan meN aur phir

Uske badan ke vaaste ek qabaa bhi si gayi

Uskii ummid E naaz kaa hamse ye maan tha ke aap

Umr guzaar deejiye, umr guzaar di gayi

Uske visaal ke liye, apne kamaal ke liye

Haalat E dil, K thi Kharaab, aur Kharaab ki gayi

Teraa firaaq jaan E jaaN aish thaa kyaa mere liye

Yaanii tere firaaq meN Khuub sharaab pi gayi

Uski gali se uTh ke maiN aan paRaa thaa apne ghar

Ek gali ki baat thi, aur gali gali gayi

Monday, July 04, 2011

Wo bhi ajnabi jese

ab ke uski aankhon mein
be-sabab udaasi thi
ab ke uske chehre par
dukh tha bad-hawasi thi

ab ke yoon mila mujhse
yoon gazal suni jaise
main bhi na-shanasa hoon
woh bhi ajnabi jaise

zard khal-o-khad uske
sogwaar daman tha
ab ke uske lehje mein
kitna khurdrapan tha

woh ke umr bhar jisne
shehar bhar ke logon mein
khud se meharbaan samjha
dil se aashna likha

ab ke sada kagaaz par
surkh roshni se
usne talkh lehje mein
mere naam se pehle
sirf BEWAFA likha